سرچ انجن کی نوعیت:

تلاش کی نوعیت:

تلاش کی جگہ:

| |\\usiness

  • 1320
  • تاریخ اشاعت : 2024-05-20
  • مشاہدات : 191

سوال

| |\\usiness
Assalaam O Alaikum! Janab Wala! Banday ne boht koshish ki k is maslay ko hal kia jaa sakey lekin taa haal is ka koi hal nahi nikla. Masla ye he k banday k 2 bhai hen, ye donon bhai Motor cyclon ka kaarobar kartay hain.Ab aik teesra aadmi he jisay paisay ki sakht zaroorat he. Is mazkoora aadmi ne in 2 bhaiyon se aik Motor cycle udhaar lay lia. Is motor cycle ki mujoodah qeemat 60,000 rupay hai. Ab in donon bhaiyon ne is teesray shakhs say kaha k 2 maah baad aap hamain 80,000 rupay dengay. Halan k is aadmi ko 60,000 rupay ki zaroorat he, lekin majboori ki wajah se se ye mazkoorah aadmi 80,000 rupay lotaaye ga.. Asal main in donon kaarobaari bhaiyon ne mazeed 20,000 rupay in 2 maheenon ki wajah se badha diye. Banday ne is maslay ki baabat mukhtalif Ulama se daryaat kia ... lekin Mukhtalif jawaabaat sunnay ko miltay hain. Aap se guzarish he k Shariat ki roshni me is ka jawaab dain. Aur Mazeed ye k kia ye kaarobaar sood k zamray me aaye ga? Faqat Wassalaam. Banda Muhammad Amin Khan Kinger

تبصرے